
Aajkal all famous social media platforms par kuchh special personality, brand or businesses ke liye verification badge offer kiya ja raha hai, jo account real hone proof deta hai, Facebook, Twitter, Instagram and YouTube in sabhi par verification badge ka option hai, but aam public ke liye nahi balki kuchh minimum requirement hai uske according verified badge diye jate hain, to chaliye dekhte hain ki in sare social media platforms par verification badge kaise pa sakte hain.
Facebook verification check mark two types ke hote hain first Facebook for influencers and second Facebook for businesses, dono ke verification badge ke color alag hote hai.
1. Facebook for influencers

Facebook for influencers account ko blue verification badge diya jata hai, jo ki public figure, famous personality or journalist ke liye hota hai, aap blue badge ke liye manually request bhi kar sakte hain, iski detail ke liye aap hamara ye post Facebook page or profile par blue verified badge kaise paye read kare.
2. Facebook for businesses

Facebook for businesses account ko gray badge diya jata hai, jo ki businesses ke liye hota hai, business account verify karne ke liye sabse pahle apne page par contact information and address update kar le, iske baad page verification check karne ke liye page ki Setting par click kar General tab me Page Verification ka option dikhega, aap apna company phone number, country and other details fill kare.
Then phone number enter kare verification code ke liye and Call Me Now par click kare, apko facebook ke traf se call ayega and verification code mil jayega, code enter kare de submit kar de, kuchh hi dino me facebook verification ke bare apko inform kiya jayega.
- Facebook Page/Profile Ko Verify Kaise Kare – Full Guide 2018
- Instagram Account Ko Verify Kaise Kare – Full Guide 2018
Twitter verify karne ke liye aap hamara pahle publish kiya gya post twitter account par verification badge kaise paye read kare.
Instagram verify karne ke liye aap hamara pahle publish kiya gya post instagram par verification badge kaise paye read kare.
YouTube
Youtube par bhi verification two type ka hota hai first youtube account verification and second YouTube name verification.
- Twitter Account Ko Verify Kaise Kare – Full Guide 2018
- WhatsApp Group Call and WhatsApp Payments Aise Use Kare
1. Verifying your YouTube account

YouTube account verify karne ke liye sirf apko mobile number enter karna hota hai, apke number par ek OTP code aata hai jise apko box me enter kar submit karna hota hai, uske baad apka youtube account verify ho jata hai, Apka account status ab Partner Verified show karega.
2. Verify your YouTube name

YouTube name verify hone par apke name next me ek red right tick mil jata hai, name verification ke liye aap manually apply kar sakte hai, but apply karne se pahle check kar le apke account par minimum 1 Lack subscribers hain, profile photo updated hai, header photo updated hai, then apply kare, apka account verify ho jayega.
Leave a Reply